Tu samajh ye bande prabhu tujhse door nahi,
bhakto ko kasht mile ye kanha ko manjur nahi.

Jo prem ko na samjhe wo tap kar le,
man mein radha krishn ke naam ka jap kar le.

Ek taraf sanwale krishn dusri taraf radhika gori,
jaise ek dusre se mile gaye ho chand chakori.

Palke jhuke air naman ho jaaye,
mastak jhuke aur bandan ho jaaye,
aisi najar kaha se laau mere kanha,
ki aapko yaad karu aur darshan ho jaaye.

Adhura hai mera ishq tere naam ke bina,
jaise adhuri hai radha shyam ke bina.

Kitne sundar nain tere ao radha pyari,
in naino mein kho gaye mere banke bihari.

Prem se radha radha japo ho jayega uddhar,
yahi wo naam hai jisse mohan karte hai pyar.

Kanha tujhe khwabo mein pakar dil kho hi jata hai,
khud ko kitna bhi rok lu pyar ho hi jata hai.

He kanha tum sang beete waqt ka,
main koi hisaab nahi rakhti,
main sirf tumhare prem mein jeeti hu,
iske baad koi khwab nahi rakhti.

Aankho mein mere aansu aa jaate hai,
lekin labo pe hasi laani padti hai,
ye mohabbat bhi kya cheej hai yaaro,
jis se karo usi se chhupani padti hai.

Khaali nahi dil hamara tere pyar ko pala hai,
ummid dikhakar tune hume andhere mein kyu dala hai.

Likhne ko jab bhi uthata hu kalam,
dil na jaane hamara kaha kho jata hai,
yaad aati hai teri to dekhta hu aasmaan ko,
aur har jagah badlo mein tu hi najar aata hai.

Mukaddar ki lakiro se main unhe churana chahta hu,
main marte dam tak unka sath nibhana chahta hu.

Tera hath pakadakar do kadam chalna chahta hu,
teri god mein sar rakh do pal sona chahtu hu,
aur tum palke uthakar meri taraf dekh lo,
main apni ruh ko teri ruh se milana chahta hu.

Kisi ko nafrat hai mujhse,
aur koi pyar kar baitha,
kisi ko yakin nahi mujhpe,
aur koi aitbaar kar baitha.

Apna dard ab hum tanhaiyo ko sunate hai,
hume nind aati hai magar so nahi paate hai,
kaise bataye tujhko takleef dil ki,
yaad aati hai teri to bas roye jaate hai.

Aapko pakar ab hum khona nahi chahte,
itna kush hokar ab rona nahi chahte,
yah aalam hai aapke milne ka aankho mein,
neend hai magar hum sona nahi chahte.

Bahut khubsurat hai ye tumhari aankhe,
inhe bana do kismat hamari,
hume nahi chahiye jamane ki khushiya,
agar mil jaaye mohabbat tumhari.

Apne is dil mein tera taaj banaya hai,
mohabbat ke mahal mein teri tasveer lagaya hai,
aajma ke dekh lena ek baar ishq mein,
marne ka kafan bahut pahle silwaya hai.

Dukh ki sham ho ya khushi ka savera,
sab kuch kabool hai agar sath hai tera.