Aaj usne humse bichhadne ki chahat ki hai,
humne bhi unki chahat puri ho jaane ki ibadat ki hai.

Aapke bina ye zindagi ruth gaya hai,
Aap hume na mile to ye dil toot gaya hai,
hamare jeene ka wajood sirf aap the,
aapke bina ye dil jeena bhool gaya hai.

Sapne sajaye the humne unke sath rahne ke,
lekin jamane ne hamara sapna hi tod diya,
kabhi waqt ke tanhaiyo mein rahe,
to kabhi waqt ne hi hamara sath chhod diya.

Sachchi mohabbat dono taraf se nahi hoti,
pyar mein ek shaks dil tod jata hai,
kahte hai pyar mein diye jakhm to bhar jaate hai,
lekin wo jakhm apna nishan chhod jata hai.

Hume jo bhi mila saare matlabi nikle,
is duniya mein apna koi mila nahi,
ab khud se bhi ummide hamari toot gayi,
aur hamare pyar ne bhi hamara sath diya nahi.

Sochta hu unhe ab hum tadpaye,
kisi aur ka naam lekar unhe sataye,
lekin mohabbat to is dil ne kiya tha,
ab apne is dil ko kaise samjhaye.

Hume aapse koi shikayat nahi,
hamare naseeb mein hi aapki chahat nahi,
hamari kismat bhi humse rooth gayi hai,
ab hamare dil ko kisi ki chahat nahi.

Humne is pyar ke safar mein,
do hi cheez sikh paya hu,
pyar mein khud ko aabad kardo,
ya fir dusro ko barbaad kardo.

Tanhai mein rona hamari jarurat ban gayi,
mehfil mein hasna hamari aadat ban gayi,
dil ke dard ko chehre se baya nahi hone dete,
aur yahi dard hamare jeene ki aadat ban gayi.

Wada karta hu umr bhar tera intejaar karuga,
tere jaane ke baad bhi main tujhse hi pyar karuga,
mana meri kismat mein tu nahi hai lekin,
khuda se tujhe paane ki dua to har baar karuga.

Itni mohabbat thi hume unse,
na jaane kya kami pad gayi,
wo chali gayi humse ye bolkar ki,
teri mohabbat mein beimaani bhar gayi.

Ab ishq karne ka bhugtan khamyaza ja raha hai,
aaj fir kisi aashiq ka janaza ja raha hai.

Wo khush hai par shayad humse nahi,
wo naraz hai par shayad humse nahi,
K kahta hai unke dil mein mohabbat nahi,
mohabbat to hai par shayad humse nahi.

Aaj jarurat hai jinki wo paas nahi hai,
ab unke dil mein wo yeh sas nahi hai,
tadapte hai hum unse do pal baat karne ko,
ab waqt hamare liye unke paas nahi hai.

Zindagi mein apnapan to har koi dikhata hai,
par apna kaun hai yah to sirf waqt batata hai.

Is tarah humse roothkar na jaya karo,
dil ko yu taklif na pahuchaya karo,
ki bada mushkil hai tumhare bina jeena,
mere pyar par kuchh to taras khaya karo.

Kash maine dil ki baat na mani hoti,
to na ishk mein doobi ye jawani hoti,
main zindagi ji raha hu ab bin saaye ke,
kash maine teri asliyat pahchani hoti.

Kyu waqt ke sath khushiya chali jaati hai,
muskurati zindagi bhi udas ho jati hai,
pahle ye bahut khubsurat lagte the,
aaj bina muskuraye hi raat ho jaati hai.

Tune mere jis dil ko thukra rakha hai,
maine usi dil mein tera aashiyana bana rakha hai,
dil to karta hai ki markar sama jaun isme,
par tune to meri maut ko bhi gulaam bana rakha hai.

Ulfat badal gayi kabhi niyat badal gayi,
khudgarz jab huye to fir sirat badal gayi,
apna kusoor dusro ke sar par daal kar,
Kuchh log sochte hai ki hakikat badal gayi.