Milne aayenge hum aapse khwabo mein,
aap khwabo mein hamara intejaar karna,
ab nahi hota intejaar aapse mulakaat ka,
jara apni aankho ke parde girakar rakhna.
Hoth kah nahi sakte fasana dil ka,
shayad nazar se hi hamari baat ho jaaye,
is ummid mein karte hai intejaar raat ka,
shayad sapne mein hi mulakaat ho jaaye.
Is chand mein agar aapka chehra na hota,
mera kambakht dil yu majboor na hota,
hum aapko good night kahne jarur aate,
agar aapka dil humse yu door na hota.
Agar hum had se jyada guzar jaaye,
to ek baar maaf kar dena,
magar aaj apne khwabo mein bulakar,
hume ek baar dil se laga lena.
Aap jo so gaye to khwaab hamara aayega,
pyari si muskan aapke chehre par laayega,
khidki darwaaje dil ke kholkar sona,
warna hamara khwaab kaha se aayega.
Na jaane kaise us shakhs ko yah hunar aata hai,
jab raat hoti hai wo mere khwabo mein utar aata hai,
uske har pal ke yehsas se bach ke jaau kaha,
kuch bhi kahu to labo pe uska hi naam aata hai.
Mere khwabo mein aapke hi nazare rahenge,
aapke palko par hamesha chand sitare rahenge,
chahe palat jaaye ye puri kaaynaat saari,
lekin hum to bas aapke hi deewane rahenge.
Is kadar hum aapki mohabbat mein kho gaye,
ek nazar dekha aur bas aapke ho gaye,
aankh khuli to pata chala yah ek sapna hai,
aankh band ki to fir se usi sapne mein kho gaye.
Dushman to Honge Hi,
Tum Waqt Dekho Beta,
Nazara Hum Dikhayenge,
Mahaul Tum Bnao,
Tabahi Ham Machaenge.
Haadse Mein To Logon Ne Apni Jaan Khoi,
Maine To Bas Apni Muskaan Khoi.
Paisa, Nasha Aur Pyar Ye Teenon,
Insan Ki Jindagi Barbad Kar Deti Hai,
Par Mujhe Koi Fark Nahi Padega,
Kyunki Mere Paas Teenon Nahi Hai.
Tum Mere Liye Kaafi Ho,
Aur Main Puri Duniya Ke Liye Kaafi Hoon.
Jise Mante Hai Dil Mante Hai,
Jhuthi Chinta Nahin Dikhate Hai Hum,
Aur Jisse Hamare Vichar Nahin Milte,
Usse Hath Bhi Nahi Milate.
Sabra Rakho Mehnat Jari Hai,
Ek Din Waqt Khud Kahega Ab Teri Bari Hai.
Sapne Bade Hai Hamare,
Aankh Band Karke Sounga Thodi,
Apne Baap Ki Sher Ki Aulad Hun,
Kisi Ladki Ke Chakkar Mein Rounga Thodi.
Mujhe Mat Dhundho Hajaron Mein,
Ham Bika Nahin Karte Bajaron Mein.
Kuchh Log Khud Ko Sher Samajhte Hai,
Magar Hum Wo Insaan Hai,
Jo Shero Ko Bhi Kutte Jaisa Ghumate hai.
Har Baat Ka Matlab Samajhte Ho,
Tum Hame Murkh Samajhte Ho,
Ya Apna Matlab Nikalna Chahte Ho.
36 Aayegi Aur 36 Jayegi,
Par Asali Wali toh Mummy Layegi.
Jo Mere Attitude Ki Deewani Hogi,
Vo Mere Dil Ki Rani Hogi.