Waqt ne fasaya hai lekin main pareshan nahi hu,
halato se haar jaau main wo insaan nahi hu.

Zindagi mein jiska koi goal nahi,
beta uska duniya mein koi mol nahi.

Duniya mein rahkar duniya ke sath log chalte hai,
hum to attitude mein rahkar duniya mein chhati thok kar chalte hai.

Sabko lagta hai main kamjor hu,
isliye dekho aaj main kuch aur hu.

Jaha sach na chale waha jhooth hi sahi,
aur jaha haq na chale waha loot hi sahi.

Aukaat kya hoti hai tumhe hum batayenge,
jara waqt aane do hum sabko nachayege.

Irade saare mere saaf hote hai,
tabhi to log aksar mere khilaaf hote hai.

Thokre khata hu par shaan se chalta hu,
main khule aasman ke niche seena taan ke chalta hu.

Abhi meri zindagi ke fasane mat puchh mere dost,
jis din main dobara duniya ke saamne aa gaya,
samjho har fasane baya ho gaye,
aur mere dushman mujh par fida ho gaye.

Jo mere muqaddar mein hai wah khud chal kar aayega,
jo nahi hai use apna khauf layega.

Itni si zindagi hai par khwab bahut hai,
jurm ka to pata nahi par ilzaam bahut hai.

Zindagi ko main apne andaaz mein jeeta hu,
ishq aur ladki se door rahta hu.

Hum bhi nahi pahchante unko,
daulat ka ghamand ho jata hai jinko.

Tera attitude mujhe sirf chot pahunchayega,
mera attitude tujhe jalakar raakh kar jayega.

Jo bhi kahte hai hum muh pe kahte hai,
isliye kuch log humse kafa rahte hai.

Sharif hai hum kisi se ladte nahi,
par zamana jaanta hai kisi ke baap se darte nahi.

Chamche kabhi wafadar nahi hote,
aur wafadar kisi ke chamche nahi hote.

Yu hi sharmane lage hai akele mein muskurane lage hai,
na jaane kaisa hai yah ishq khud mein hi khone lage hai.

Kahne ko to bahut kuch baaki hai,
magar tere liye meri khamoshi hi kaafi hai.

Aajkal mere aankho ko dekh log nashebaaz kahte hai,
jo log khud dhokhebaj hai wo mujhe dhokhebaj kahte hai.