chla kiyan jag nal chldian ne khuda ta haar sah to wakif ae.

Tutya hoya vishwas te gujra hoya waqt ..kde vapis nhi onda.

Hamari dosti to ek dusre se hi puri hai,
warna raste ke bina to manzil adhuri hai.

Hatho ki lakire to hamari bhi bahut khas hai,
tabhi to tum jaise pyare dost hamare paas hai.

Dosti mein dost, dost ka khuda hota hai,
ye mahsus tab hota hai jab wo juda hota hai.

Dosti agar sachi ho to wo rang laati,
dosti apne jaisi ho to itihas banati.

Dost ko tuta dekhkar main khud bhi tut jata hu,
use samjhate samjhate main khud rone baith jata hu.

Ye dost teri khatir main duniya tak chhod dunga,
par tune sath chhoda to main teri tange tod dunga.

Dosti to har chehre ki muskaan hoti hai,
dosti hi sukh dukh ki pahchan hoti hai.

Jivan ke har mod par mukaam nahi hota,
aap jaise dost milna aasan nahi hota.

Dosti ka rishta hum kabhi tod nahi sakte,
aur dosto ko akela hum chhod nahi sakte.

Samandar ki tarah hai hamari pahchan,
upar se khamosh aur andar se toofan.

Jis cheez ka tumhe khauf hai,
us cheez ka hume shauk hai.

Hum jaise sirfire hi itihas rachte hai,
samajhdar to kewal itihas padhte hai.

Ek alag pahchan banane ki aadat hai hume,
jakhm ho jitna gahra utna muskurane ki aadat hai hume.

Aasmaan par thikane kisi ke nahi hote,
jo zameen par nahi hote wo kahi pe nahi hote.

Ye jo abhi halat hai mera ek din sudhar jayega,
lekin kafi log is dil se utar jayega.

Aaj bhi hum haari hui baazi khelna pasand karte hai,
kyuki hum apni kismat se jyada khud par bharosa karte hai.

Hum apna waqt barbad nahi karte,
jo chala gaya hum unhe yaad nahi karte.

Attitude ka wo nasha chadha hai mujh par jo na utrega,
shakhsiyat bhale hi mit jaaye par ye banda kisi ke aage nahi jhukega.