Tere bad hum jiske honge.
Us rishte ka naam majboori hoga.
Roye kuch is tarah se,
Mere jism se lag ke vo,
Aisa laga ki jaise kabhi,
Bewafa na the vo.
Suno na, har roz rula dete ho,
kya mere dard se dard nhi hota tumhe.
Koi kitna bhi himmatwala ho,
Hamesha khas inshan ki yaad rula deti hai.
Kisne kaha alag Hona,
Ishq ki haar hain,
Jo pyar bichad gaya,
Aakhir wo bhi to pyar hain.
Kabhi milan kabhi judai likh diya,
Ab tumse na milna mazburi hai meri,
Isliye hamney apni zindgi ka naam
Inzaar rakh diya.
Is tute dil se hum yah fariyad,
karte hain tumhen bhi,
Tumhari tarh jaane wala mile.
Dil ki aawaz sunta nahi koi,
Ankhon ka kahna manta nahi koi,
Hum to apni jaan bhi luta de kushi se,
Par ehmiyat iski janta nahi koi.
Aaj mera vaqt bhi,
Meri haalat dekh kar ro pada,
Aur bola kharab mein chal raha hu,
Aur saja tumhe mil rahi hai.
Har chehre me,
Chhupi ek kahani Hai,
Jo jitna muskuraye uski bhi,
Dard bhari kahani hai.
Yu to har sakhs, bade ahtaram se mila,
Magar jo bhi mila, apne he kaam se mila.
Mat kiya kar e Dil, kisi se mohabbat itni,
Jo log baat nahi karte Wo pyar kya Karenge.
Dekh li is duniya ki yaari,
Badal gaye sab bari bari.
Kisi ko bhi nahi chaha maine,
Jaan ek tumhe chahne ke baad.
Matlab ki duniya thi,
Isliye liye chod diya sabse milna,
Warna ye choti si umar,
Tanhai ke kabil to nahi thi.
Teri meri bane to bane kaise,
Tujhe nibhana nahi aata,
Mujhe bhulana nahi aata.
Puch raha hoon zindagi se,
Zindagi ka pata jab milegi,
To pata chal hi jayega.
Mohabbat ka dard dil mein chhupaaya bahut hai,
Sach kahun uski mohabbat ne rulaya bahut hai.
Mohabbat kabhi jhoothi nahi hoti hai,
Jhoothe to kasame, vaade aur log hote hain.
Dua karo jo jise mohabbat kare,
Vo use mil jaaye, kyonki bahut,
Rulati hai ye adhoori mohabbat.