Aaj main kuch nahi hu ye baat maine mana,
kal ko mashhur ho jaau to rishta mat banana.

Tu jis shahar mein akad dikhata hai,
main us shahar ka nawab hu,
tu chhote abhi abhi bigda hai,
aur main bachpan se kharab hu.

Mere attitude par mat jana,
tumhare samajh mein nahi aayega,
agar jyada dil lagaoge,
to dil hi nikal jaayega.

Attitude ka wo nasha chadha hai mujhpar,
jo jivan mein kabhi na utrega,
shakhsiyat bhale hi mit jaaye,
par ye banda kisi ke aage nahi jhukega.

Kuch sahi to kuch kharab kahte hai,
log hume bigda hua nawab kahte hai.

Yah jo sar par ghamand ka taaj rakhte hai,
hum atitude mein unke bhi baap lagte hai.

Tumne pucha tha na kaisa hu main,
kabhi bhul na paoge aisa hu main.

Rahte hai aas paas hi lekin sath nahi hote,
kuch log jalte hai mujhse bas khak nahi hote.

Badshah ho ya malik salami hum nahi karte,
raja ho ya rajkumari gulami hum nahi karte.

Pyar se baat karoge to pyar paoge,
agar akad dikhaoge to laat khaoge.

Teri ego to do din ki kahani hai,
lekin meri akkad to khandani hai.

Pure shahar mein naam chalta hai photo lage hai thane mein,
sher jaisa jigra chahiye humko hath lagane mein.

Abhi tu naya naya hai bete maine khel sare khele hai,
jin ke dam par tu uchalta hai wo mere hi chele hai.

Dard ki bhi apni hi ek ada hai,
ye to sahne walo par hi fida hai.

Khoon mein ubaal aaj bhi khandani hai,
tabhi to duniya hamare andaz ki deewani hai.

Hum aakhir kyu kare bharosa gairo par,
jab chalna hai hume apne hi pairo par.

Main sach kahne ki himmat rakhta hu,
isliye aajkal rishte kam rakhta hu.

Wo meri na hui to hairat ki koi baat nahi,
sher se dil lagana bakri ki aukaat nahi.

Bewafa ke liye rona band karo,
aur safalta ke liye sangharsh karo.

Jaha sach na chale waha jhoot hi sahi,
jaha hak na chale waha loot hi sahi.