Khoobiya milti hai to shaadi hoti hai,
magar kamiya milti hai to dosti hoti hai.

Kuchh galtiya ki hai jo ab hume sudharni hai,
dosto ne farz pura kiya ab hume dosti nibhani hai.

Ye dost main tumhe bhool jaau ye teri bhool hai,
ab kya kahu tu to ek mahakta hua phool hai.

Dosti ka farz is tarah se nibhaya jaaye,
rahim rahe bhukha to ram se bhi na khaya jaaye.

Sharte lagai nahi jaati dosto ke sath,
kijiye kubool dosto ko uski kami ke sath.

Dosti mein bhi apne hi usool hote hai,
dosti ke liye kaante bhi kubool hote hai.

Kuchh dosto ki dosti mein hum itna kho gaye,
beet gaye lamhe aur tasveer lena bhool gaye.

Kon kahta hai ki dosti yaari barbaad karti hai,
koi nibhane wala ho to duniya yaad karti hai.

Main koi rishta nahi jo tum nibhaoge,
bas dost hu ise dosti se hi paoge.

Dosto ki dosti mein kabhi koi rule nahi hota,
aur ye sikhane ke liye koi school nahi hota.

Safar dosti ka jiska kabhi ant nahi hota,
dosti ke rishte mein pyar kabhi kam nahi hota.

Dosti ke rishte mein kitni bhi doori hoti hai,
fir bhi dosti to kohinoor jaisi hoti hai.

Do ungali jodne se dosti ho jaati hai,
yahi to dosti ki khubsurti kahlati hai.

Na tum door jana na hum door jayenge,
apne apne hisse ki dosti dono nibhayenge.

Chhoti chhoti baato se kabhi dost na roothe,
najuk sa ye dil kabhi bhool se na toote.

Zindagi ke saare gam kyu baat lete hai dost,
zindagi mein dosti pe jaan luta dete hai dost.

Hamari dosti to ek dusre se hi puri hai,
warna raste ke bina to manzil adhuri hai.

Dosti ka rishta hum kabhi tod nahi sakte,
aur dosto ko akela hum chhod nahi sakte.

Jivan ke har mod par mukaam nahi hota,
aap jaise dost milna aasan nahi hota.

Dosti to har chehre ki muskaan hoti hai,
dosti hi sukh dukh ki pahchan hoti hai.