Har mushkil waqt mein sath dete hai dost,
zindagi ke saare gam baat lete hai dost.

Main koi rishta nahi hu jo nibhaaoge mujhe,
bas dost hu aur dosti se hi paaoge mujhe.

Dost hai to sukune zindgani hai,
dost ke bina to adhuri kahani hai.

Kon kahta hai ki dosti yaari barbaad karti hai,
agar dost sachha ho to duniya yaad karti hai.

Zindagi mein dost banana ek aam baat hoti hai,
par dosti ko nibhana ek khaas baat hoti hai.

Aapki hamari dosti suro ka saaz hai,
aap jaise dost par hi to hume naaz hai.

Dosto ko har baat batani padti hai,
unhe dosti ki yaad dilani padti hai.

Dosti ke dhaage ko hum tod nahi sakte,
dosto ko kabhi akela chhod nahi sakte.

Dilo ke rishto ka koi naam nahi hota,
aur sacche dost milna aasan nahi hota.

Jivan mein dosti kabhi khatm nahi hota,
aur dosti ke safar ka kabhi ant nahi hota.

Jeevan mein dost kabhi purane nahi aate,
fir laut ke dosti ke jamane nahi aate.

Chhoti chhoti baato se kabhi dost na ruthe,
najuk sa ye dil kabhi bhool se na toote.

Ye dost main tumhe bhool jau ye teri bhool hai,
teri kya taarif karu tu mahakta hua phool hai.

Apni jaan se bhi jyada dosto se pyar hai,
kyuki har bure waqt mein mere sath mere yaar hai.

Kuchh galtiya ki hai jo hume sawarna hai,
dosti ke farz ko ab hume bhi nibhana hai.

zindagi mein beshak koi pal khushi ka na ho,
par ye khuda mera dost kabhi mujhse juda na ho.

Daulat se agar dost bane to wah dost nahi,
par sach kahu to dost jaisi koi daulat nahi.

Jab duniya ne hamara sath chhod diya,
tab hamare dosto ne hamara hath tham diya.

Hamari dosti to ek duje se hi puri hoti hai,
warna raste ke bina to manzil bhi adhuri hai.

Andaaz aisa rakho ki duniya dekhti rah jaaye,
aur dosti aisi karo ki duniya jalti rah jaaye.