Mashwara to khub dete ho ki kush raha karo,
kabhi kush rahne ki wajah bhi de diya karo.

Mere to dard bhi auro ke kaam aate hai,
main ro padu to kai log muskurate hai.

Hum afsos kyu kare ki koi hume na mila,
afsos to wo kare jinhe hum na mile.

Main tujhe baar baar isliye samajhta hu,
tujhe tuta huaa dekhkar main khud bhi toot jata hu.

Jara si baat par shauk karna, 
meri aadat nahi,
gahri jad ka bargad hu,
Deewar par uga pipal nahi.

Ek shakhs jo itna satata hai,
sukoon bhi na jaane kyu usi ke paas aata hai.

Yahi to jamane ka usool hai,
jarurat ho to khuda warna banda fizul hai.

Har tareeka aajma chuka hu tumhe manane ka,
kaha se sikh ke aaye ho ye andaaz ruth jaane ka.

Na samajh hai wo abhi meri baat nahi samjhega,
meri jagah nahi hai na mere halaat nahi samjhega.

Dekh dard kisi aur ka,
aah dil se nikal jaati hai,
bas itni si baat to,
aadmi ko insaan banati hai.

Tum badle to hum bhi kaha purane se rahe,
tum aane se rahe to hum bhi bulane se rahe.

Taqleef khud ki kam ho gayi,
jab apno se ummid kam ho gayi.

Sunau kya kissa thoda ajeeb hai,
jisne khanjar mara hai wahi dil ke kareeb hai.

Hath chhute bhi to rishta nahi chhoda karte,
waqt ki shakh se lamhe nahi toda karte.

Dard ko chhod kar haar mein tu raaji hai,
bhul raha tere hatho mein abhi baaji.

Jaha jana hai jaao,
tumse ab koi rishta thodi hai,
jiske liye mujhe chhod ke gaye ho,
wo bhi koi farishta thodi hai.

Tumhe jo yaad karta hu,
main duniya bhul jata hu,
teri chahat mein aksar,
main sabhanla bhul jata hu.

Etne jald na saare raaj bataya karo,
baat lambi karni ho to kuchh raaj chhupaya karo.

Dil to roj kahta hai mujhe koi sahara chahiye,
fir dimaag kahta hai kya dhokha dobara chahiye.

Chubhta hu sabko koi chhura to nahi hu,
tum batate ho jitna utna bura to nahi hu.