Pal pal rona sikha diya tumne,
acha hua ki mujhe bhula diya tumne.

Dohri shaksiyat rakhne se inkaar hai hume,
isliye akele hi ranha swikaar hai hume.

Gujar jaati hai zindagi yu hi gujar rahe hai pal,
koi hamsafar mile ya na mile akela hi chal.

Ye akelapan mujhe bahut satane lagi hai,
teri berukhi ab mujhe tadpane lagi hai.

Koi apna chhod gya hai mujhe,
usi ke intejaar mein tadap raha hu,
use jara bhi yaad nahi aati meri,
aur mein usi ki yaado mein mar raha hu.

Ab kya kahu wo kisi aur ki naseeb thi,
saath mere baithi thi par kisi aur ke kareeb thi.

Do kadam saath chal lene se,
yaha koi humsafar nahi banta,
pyar bhari baate kar lene se,
yaha koi humdard nahi banta.

Ab ajnabi sa apna wajud lagta hai,
sab sath hai fir bhi akela sa lagta hai.

Udaas rahta hu main in hazaro ke bich,
maano jaise chand rahta hai sitaro ke bich.

Khud ke saamne kisi aur ko gale lagaate huye dekha hai,
haa, meine apni mohabbat ko khud se door jaate huye dekha hai.

Waqt ke saath koi dil se nikal jaate hai,
bina kuch kahe hi bahut door chale jaate hai,
koi bharosa nahi aise insaan ka jo,
apne waade ko bich raaho mein hi chhod jaate hai.

Akelepan ka har ek aansu pina hota hai,
akele hi sahna aur akele hi rahna hota hai.

Wo tere khat teri tasveer aur wo sookhe phool,
aisa lagta hai ki pyar karke kar di badi bhool.

Aaj mera man udaas hai,
kal uska bhi man behal hoga,
jiske liye usne aisa kiya,
kal uska bhi wahi haal hoga.

Wo bichhadkar dilo ke riste khatm kar gaye,
kya kami thi ki is mohabbat adhura kar gaye.

Mat kar kisi se etni mohabbat ye dil,
pyar ka dard tu seh na payega,
tut jayega kisi apno ke hi hatho,
kisne toda ye bhi keh na payega.

Pahle parchai mein bhi tum nagar aati thi,
ab dekhta hu parchai to sirf tanhai nazar aati hai.

Apne jakhm khud hi kharochta rahta hu,
jab bhi tanha hota hu to rota rahta hu.

Main jaisa hu waisa mujhe rahne de,
in hawaao ke jaise bahne de,
tanha sa ek musafir hu main,
ab mujhe tanha hi tu rahne de.

Na kisi ka sath na sahara hai koi,
na hum hai kisi ke na hamara hai ko.