Tu samajh ye bande prabhu tujhse door nahi,
bhakto ko kasht mile ye kanha ko manjur nahi.

Yadi prem ka matlab sirf pa lena hota,
to har hriday mein radha krishn ka naam nahi hota.

Sansar ke logo ki aasha na kiya karna,
jab bhi man vichlit ho to radha krishn naam liya karna.

Radha Krishn hi prem ki sabse achchi paribhasha hai,
bina kahe jo samajh mein aa jaaye prem aisi bhasha hai.

Jab prem ka suroor mere dil par chhata hai,
mera hriday charo taraf radha krishn ko hi pata hai.

Darbar hazaro dekhe hai,
par aisa koi darbar nahi,
jis gulshan mein tera noor na ho,
aisa to koi gulzar nahi.

Shyam tere milne ka satsang hi bahana hai,
duniya wale kya jaane ye rishta purana hai.

Prem ko mahsus karne wala dhany hota hai,
wahi to radha krishn ka param bhakt hota hai.

Koi kah do yashoda se jakar,
baate ab badi banane lage hai,
shyam makhan churate churate,
ab to dil bhi churane lage hai.

Jo prem ki puja karte hai,
Radha Krishn unke hriday mein baste hai.

Jo prem ko na samjhe wo tap kar le,
man mein radha krishn ke naam ka jap kar le.

Ek taraf sanwale krishn dusri taraf radhika gori,
jaise ek dusre se mile gaye ho chand chakori.

Palke jhuke air naman ho jaaye,
mastak jhuke aur bandan ho jaaye,
aisi najar kaha se laau mere kanha,
ki aapko yaad karu aur darshan ho jaaye.

Adhura hai mera ishq tere naam ke bina,
jaise adhuri hai radha shyam ke bina.

Kitne sundar nain tere ao radha pyari,
in naino mein kho gaye mere banke bihari.

Prem se radha radha japo ho jayega uddhar,
yahi wo naam hai jisse mohan karte hai pyar.

Kanha tujhe khwabo mein pakar dil kho hi jata hai,
khud ko kitna bhi rok lu pyar ho hi jata hai.

He kanha tum sang beete waqt ka,
main koi hisaab nahi rakhti,
main sirf tumhare prem mein jeeti hu,
iske baad koi khwab nahi rakhti.

Paane ko hi prem kahe jag ki ye hai reet,
prem ka arth samjhayegi radha krishn ki preet.

Shree radha jaha jaha shree krishn waha waha hai,
jo hriday mein bas jaaye wo bichhadta kaha hai.