Raat gujri fir mehakti subah aai,
dil dhadka fir aapki yaad aai,
aankho ne mahsus kiya us hawa ko,
jo aapko chhukar hamare paas aai.
Har subah meri aankho ko aapki jarurat hoti hai,
har pal sath tum raho khwahish itni si hoti hai,
na ho agar aapko vishwas to puch lo mere dil se,
isko bhi dhadakne ke liye jarurat aapki hoti hai.
Tujhe main apna humsafar bana lu taaki,
meri har subah teri baaho se shuru ho,
khamoshi se takraye tere lab mere labo se,
fir ja kar subah suhaani ho.
Neend bhari aankho ko dhire se khol do jara,
is pyari subah ki nami se palko ko dho do jara,
humne to aapko bol diya hai good morning,
ab aapki baari hai hume bhi good morning bol do jara.
Subah shaam bas teri hi chahat karu,
tujhse na kabhi koi shikayat karu,
tere hansi labo pe yu hi barkarar rahe sada,
chahkar bhi tujhko khud se na juda karu.
Kuchh nahi chahiye mere dil ko,
bas har subah tera sath chahiye,
mere hatho mein ho tera hath aur,
tere chehre pe pyari si muskaan chahiye.
Aapki ye nayi subah itni suhani ho jaaye,
ki dukho ki saari baate aapki purani ho jaaye.
de jaaye itni khushiya yah naya din,
ki khushi bhi aapki deewani ho jaaye.
Ujalo mein rah kar main andhera mangta hu,
raat ki chandni se ek savera mangta hu,
daulat aur shohrat na mangu main,
har subah nazro ke samne tera chehra mangta nu.
Hansi aapki koi chura na paaye,
aapko kabhi koi rula na paaye,
Khushiyon ka deep aise jale zindagi mein,
ki koi toofan bhi use bujha na paaye.
Aasman ki bulandiyon par naam ho aapka,
Chand ki dharti par bhi mukaam ho aapka,
har subah aapki khushiyo ki dua karte hai,
khuda kare ki ye sara jaha ho aapka.
Koyal ki aawaz mein hai jo mithas,
nadiya ke jal mein bhi khanakti aawaz,
aisa hi surila hoga aapka ye aaj,
dil se kahte hai hum aapko suprabhat.
Subah ka ujala sada aapke sath ho,
har din har pal aapke liye khas ho,
dil se duaa nikalti hai aapke liye,
aur duniya ki sari khushiya aapke paas ho.
Ye suraj tu mere apno ko pegaam dena,
khushi ka din aur hasi ki shaam dena,
jab khole wo apni aankhe,
to un ke chehre par pyari si muskan dena.
Tamanna karte ho aap jin khushiyo ki,
dua hai wah khushiya aapke kadmo mein ho,
khuda aapko wah sab haqikat mein de,
jo kuchh aapke sapno mein ho.
Baadlo se suraj nikal aaya hai,
aasman mein naya rang chaya hai,
ab tak aap so to nahi rahe,
ye subah khushiyo ka paigam laya hai.
Phoolo ne amrit ka jaam bheja hai,
subah ki kirno ka salam bheja hai,
khushiyo se bhari ho zindagi aapki,
yahi dil se humne paigam bheja hai.
Subah uthte hi chehre par muskan rahe,
har ek dukh se aap koso door rahe,
mahak uthe aapki zindagi,
aisa shubh din aapka aaj rahe.
Gujar gayi wo sitaro wali pyari raat,
yaad aa gayi aapki wo ek mithi baat,
har pal hoti rahti thi hamari mulakat,
ab to bina aapke hoti hai din ki shuruaat.
Aisa koi din na ho jo tu mere sath na ho,
aisi koi subah na ho ki tu mere kareeb na ho,
gujarish hai khuda se ki subah teri baho me ho,
warna is nacheez ki koi subah na ho.
Jaane kab subah subah wo rishta ban gaya hai,
ek anjana jaane kab apna ban gaya hai,
hume ek pal bhi yehsas na huaa,
aur koi hamari subah ki jarurat ban gaya hai.