Har waqt hum tumhe hi chahte hai,
khuda se sirf tumhe hi magte hai.

Hamare bich jo duriya hai use kam karlo,
hume seene se lagakar apne sang karlo.

Teri sanso ki tapish se main,
maum sa pighal rahe hai,
tere pyar ke noor se hum,
chand se bhi khubsurat dikh rahe hai.

Meine tute huye dil ke tukde ko sajaya hai,
apne dard ko dil mein hi dabaya hai,
log kehte hai tum pahle jaise nahi rahe,
meine dil ke jakhm ko logo se chhupaya hai.

Aaine se hi apne dil ki baat karte ho,
saamne se kehdo ki aap bhi hume pyar karte ho.

Wo jaate jaate is dil ko awara kar gai,
najro se hi mohabbat ka ishara kar gai.

Na koi kisi se door hota hai,
na koi kisi ke kareeb hota hai,
wo khud mil jaate hai safar mein,
jo jiska naseeb hota hai.

Berang zindagi mein koi rang chahiye,
jivan ke safar mein tera sang chahiye.

Dil ka haal batana nahi aata,
hume apne pyar ko jatana nahi aata,
baate to karna chahte hai aapse,
par hume baate karne ka bahana nahi aata.

Aapke baato ke jaadu se ye dil behak jaata hai,
aapke nashile aankho se hi nasha chadh jaata hai.

Tu hi mera pyar hai aur tu hi meri zindagi,
tu hi mera khwab hai aur tujhse hi hai meri zindagi.

Narazgi aur care wahi karta hai,
jo aapse sabse jyada pyar karta hai.

Jab dhadkano ko tham leta hai koi,
jab khayalo mein hamara naam leta hai koi,
yaade tab aur yaadgar ban jaati hai,
jab hume humse behtar jaan leta hai koi.

Aankho ki chamak aur palko ki shan ban gaye ho,
chehre ki hansi aur dhadkano ki jaan ban gaye ho.

Tujhe dekhte hi ye dil bekrar hone laga,
teri chahat pe mujhe ab ikrar hone laga.

Tu meri rooh ki talab ban ja,
mai teri chahat ban jaau,
is kadar tujhe pyar karu ki,
teri dil ki dhadkan ban jaau.

Khamosh labo par bhi mohabbat gungunati hai,
tu sirf meri hai dil se yahi aawaj aati hai.

Bahut sukoon milta hai jab unse hamari mulakaat hoti hai,
tab wahi pal hamare liye puri kaaynaat hoti hai.

Dekhi jo surat to ye dil machal gaya,
aapki adaa pe ye dil fisal gaya.

Pyar ke meethe ehsass yaad aane lage hai,
khwabo mein hum unki tasveer banane lage hai,
tumhar pyar ka asar is kadar chadha hai,
maano har pal hum tumhare kareeb aane lage hai.