Baadlo se suraj nikal aaya hai,
aasman mein naya rang chaya hai,
ab tak aap so to nahi rahe,
ye subah khushiyo ka paigam laya hai.
Ye suraj tu mere apno ko pegaam dena,
khushi ka din aur hasi ki shaam dena,
jab khole wo apni aankhe,
to un ke chehre par pyari si muskan dena.
Subah ka ujala sada aapke sath ho,
har din har pal aapke liye khas ho,
dil se duaa nikalti hai aapke liye,
aur duniya ki sari khushiya aapke paas ho.
Koyal ki aawaz mein hai jo mithas,
nadiya ke jal mein bhi khanakti aawaz,
aisa hi surila hoga aapka ye aaj,
dil se kahte hai hum aapko suprabhat.
Raat gujri fir mehakti subah aai,
dil dhadka fir aapki yaad aai,
aankho ne mahsus kiya us hawa ko,
jo aapko chhukar hamare paas aai.
Hansi aapki koi chura na paaye,
aapko kabhi koi rula na paaye,
Khushiyon ka deep aise jale zindagi mein,
ki koi toofan bhi use bujha na paaye.
Aapki ye nayi subah itni suhani ho jaaye,
ki dukho ki saari baate aapki purani ho jaaye.
de jaaye itni khushiya yah naya din,
ki khushi bhi aapki deewani ho jaaye.
Kuchh nahi chahiye mere dil ko,
bas har subah tera sath chahiye,
mere hatho mein ho tera hath aur,
tere chehre pe pyari si muskaan chahiye.
Tamanna karte ho aap jin khushiyo ki,
dua hai wah khushiya aapke kadmo mein ho,
khuda aapko wah sab haqikat mein de,
jo kuchh aapke sapno mein ho.
Wo humse mili bhi to bewafa ban ke mili,
mere gunha utne nahi the jitni mujhe saza mili.
Apne husn par naaz karna uska gurur hai,
har din naya aashiq banana uska surur hai,
mera dil uske bewafai par bhi fitoor hai,
ab aap hi batao yaro isme mera kya kasoor hai.
Ye maut tujhe main gale lagana chahta hu,
kitni wafa hai ye aajmana chahta hu,
logo ne bahut rulaya hai mujhe,
tera sath mile to logo ko rulana chahta hu.
Hume na mohabbat mili na pyar mila,
hume to sirf aur sirf bewafa pyar mila,
apni to ban gayi hai tamasha zindagi,
har koi apne maksad ka talabgaar mila.
Beete huye lamho mein kai dard hai,
mere haste huye chehre mein gam bhara hai.
Kho gai hu mai un purani yaado mein,
ab khud ko hi bhulti ja rahi hu,
pahle har baat pe muskuraya karti thi,
ab khud hi khamosh hui ja rahi hu.
Meri zindagi ki uljhan ko suljha de koi,
kisi ko bhulaya kaise jata hai itna bataa de koi.
Bahut dard hai dil mein bata nahi sakte,
ab is dard se aur nahi lad payugi,
zindagi jeene ka koi wajud hi nahi raha,
kisi din khudse haarkar tut jayugi.
Waqt ne tere chehre ka rang dikha diya,
tum kabhi mere nahi the ye bata diya,
ab is dil mein koi ummid na rahi,
is dil ne ab sab kuch mita diya.
Wo hume kyu chodkar chale gye,
hume pta nahi unki kya majboori thi,
ab khuda se bhi kya shikayat kare,
lagta hai hamari kahani hi adhuri thi.
Wo waqt beet gya hai,
wo wada tut gya hai,
kise kahu dil ki baat,
wo pyar bhi rooth gya hai.