Dil ke kareeb aake jab wo door ho gaye,
dil ke saare haseen khwaab chur-chur ho gaye,
humne wafa nibhai to badnami mili,
aur wo bewafai karke bhi mashhoor ho gaye.
Tere ishq mein kho gaya is kadar,
ki dil mein mere armaan sajne laga,
lekin tu jab se ki hai mujhse bewafai,
ab har shakhs mujhe bewafa lagne laga.
Wo humse mili bhi to bewafa ban ke mili,
mere gunha utne nahi the jitni mujhe saza mili.
Apne husn par naaz karna uska gurur hai,
har din naya aashiq banana uska surur hai,
mera dil uske bewafai par bhi fitoor hai,
ab aap hi batao yaro isme mera kya kasoor hai.
Ye maut tujhe main gale lagana chahta hu,
kitni wafa hai ye aajmana chahta hu,
logo ne bahut rulaya hai mujhe,
tera sath mile to logo ko rulana chahta hu.
Hume na mohabbat mili na pyar mila,
hume to sirf aur sirf bewafa pyar mila,
apni to ban gayi hai tamasha zindagi,
har koi apne maksad ka talabgaar mila.
Beete huye lamho mein kai dard hai,
mere haste huye chehre mein gam bhara hai.
Kho gai hu mai un purani yaado mein,
ab khud ko hi bhulti ja rahi hu,
pahle har baat pe muskuraya karti thi,
ab khud hi khamosh hui ja rahi hu.
Wo waqt beet gya hai,
wo wada tut gya hai,
kise kahu dil ki baat,
wo pyar bhi rooth gya hai.
Jise dil se chaha usi ne mujhe rulaya,
bich raho mein chhodkar kaisa pyar nibhaya.
Tutkar ek din patto ki tarah bikhar jaungi,
deewaro se latakti hui tasweer mein najar aaungi,
agar kabhi na milu to udas mat hona,
apni ankhey band karna, main khwabo mein najar aaungi.
Meri zindagi ki uljhan ko suljha de koi,
kisi ko bhulaya kaise jata hai itna bataa de koi.
Wo hume kyu chodkar chale gye,
hume pta nahi unki kya majboori thi,
ab khuda se bhi kya shikayat kare,
lagta hai hamari kahani hi adhuri thi.
Waqt ne tere chehre ka rang dikha diya,
tum kabhi mere nahi the ye bata diya,
ab is dil mein koi ummid na rahi,
is dil ne ab sab kuch mita diya.
Bahut dard hai dil mein bata nahi sakte,
ab is dard se aur nahi lad payugi,
zindagi jeene ka koi wajud hi nahi raha,
kisi din khudse haarkar tut jayugi.
Wo jaate jaate is dil ko awara kar gai,
najro se hi mohabbat ka ishara kar gai.
Teri sanso ki tapish se main,
maum sa pighal rahe hai,
tere pyar ke noor se hum,
chand se bhi khubsurat dikh rahe hai.
Meine tute huye dil ke tukde ko sajaya hai,
apne dard ko dil mein hi dabaya hai,
log kehte hai tum pahle jaise nahi rahe,
meine dil ke jakhm ko logo se chhupaya hai.
Aaine se hi apne dil ki baat karte ho,
saamne se kehdo ki aap bhi hume pyar karte ho.
Hamare bich jo duriya hai use kam karlo,
hume seene se lagakar apne sang karlo.