Zara thahro ki shab fiki bahut hai,
tumhe ghar jaane ki jaldi bahut hai,
zara nazdeek aakar aakar baith jaao,
tumhare shahar mein sardi bahut hai.
Jaha pankha chal raha hai wahi rassi bhi padi hai,
mujhe fir khayal aaya abhi zindagi padi hai.
Tumahri sham ye tamanna bas ek raat bujhi,
charag meri tavakko ke roj bujhte hai,
main sans lu bhi to kaise ki meri sanso mein,
tumhari doobti sanso ke teer chubhte hai.
Main both kandho pe aise utha ke chalta hu,
Tumhara jaise janaza utha ke chalta tha,
yaha pe meri pareshani sirf meri hai,
waha koi na koi kandha to badalta tha.
Main jab bhi chhuta hu apne badan ki mitti ko,
to lams fir usi thande badan ka hota hai,
libas roj badalta hu main bhi sab ki tarah,
magar khayal tumhare kafan ka hota hai.
Tumhara sirf hawaon pe shak gaya hoga.
charag khud bhi to jal jal ke thak gaya hoga.
main koi raah hu tum raah dekhne waale,
ki muntazir to mara par na intijaar mara,
tumhari maut meri zindagi se behtar hai,
tum ek baar mare main to baar baar mara.
Keemat paani ki nahi pyas ki hoti hai,
keemat maut ki nahi sans ki hoti hai,
pyar to bahut karte hai duniya mein,
keemat pyar ki nahi vishvas ki hoti hai.
Mere dil ki sarhad ko paar na karna,
naajuk hai dil mera war na karna,
khud se badhkar bharosa hai mujhe tum par,
is bharose ko tum bekar na karna.
Jab apna dil khud le dube to auro pe sahara kaun kare,
kashti pe bharosa jab na raha to tumko pe bharosa kaun kare.
Har rishte mein vishvas rahne do,
juban par har waqt mithas rahne do,
yahi to andaz hai zindagi jeene ka,
na khud raho udas na dusro rahne do.
Bharosa jispar karo wah nibhata nahi hai,
aur jo nibhata hai uspe hume bharosa nahi hai.
Ummide tairati rahti hai kashtiyan doob jaati hai,
kuch ghar salamat rahte hai aandhiyan jab bhi aati hai,
bacha le jo har tufa se use aas kahte hai,
bada majboot hai ye dhaga jise vishvas kahte hai.
Deeware chhoti hoti thi lekin parda hota tha,
taalo ki izaad se pahle sirf bharosa hota tha.
Kisi par itna vishvas rakho,
ki koi use tod na paaye,
chahe koi kitni bhi koshish kar le,
rishto ka kuch ukhad na paaye.
dil ki sarhad ko tum paar na karna,
mere bharose aur vishvas ko tum bekar na karna.
Pyar mein koi to dil tod deta hai,
dosti mein koi to bharosa tod deta hai,
zindagi jeena to koi gulab se sikhe,
jo khud toot kar do dilo ko tod deta hai.
Bas ek wahi thi jo bharose wali thi,
warna to ye duniya dhokhe wali thi.
Bahut kachche the tere vishvas ke dhaage,
jo hamare rishte ko bun na sake,
bharosa kiya tum par,
tum use nibha na sake.
Dil ki dhadkan aur meri sada ho tum,
mere bharose ki aakhiri wafa ho tum.