Jaanne ki koshish ki thi humne tumko,
par tumne kabhi mujh par dhyan na diya,
gairo par tumhe gahra vishwas tha,
jisne apna samjha us par aitbaar na kiya.
Paas aakar sabhi door chale jaate hai,
hum akele the aur akele hi rah jaate hai,
is dil ka dard dikhaye bhi to kise,
marham lagane wale hi zakham de jaate hai.
Meri zindagi mein ek shakhs itna aham ho gaya,
use humse mohabbat hai ye hume waham ho gaya.
Kisi ki chahat pe zinda rahne wale hum na the,
kisi par mar mitne wale hum na the,
aadat si pad gayi thi tumhe yaad karne ki,
warna kisi ko yaad karne wale hum na the.
Sanso ka ye pinjra kisi din toot jayega,
ye musafir kisi raah mein chhoot jayega,
abhi zinda hu to baat kar liya karo,
kya pata kab hum se ye khuda rooth jayega.
Pyar kiya tujhko dilo jaan se,
is dil mein tumko is kadar basa liya,
bhula na paya hai ye dil tujhko aaj tak,
lekin tumne to is dil ko rula diya.
Dard ko ab khud dard hone laga hai,
dard apne gam pe khud rone laga hai,
ab hume dard se dard nahi lagega,
kyuki dard humko chhukar khud sone laga hai.
Jaan se jyada pyar unhe kiya karte the,
yaad unhe hum din raat kiya karte the,
ab un raahon se guzra nahi jaata,
jaha baithkar unka intjaar kiya karye the.
Mohabbat muqaddar hai koi khwab nahi,
ye wo ada hai jisme har koi kamyab nahi,
jinhe milti hai manzil mohabbat mein wo khush hai,
magar jo pagal huye unka koi hisaab nahi.
Jitni aasani se log naina jod lete hai,
utni hi aasani se dil ka rishta tod dete hai.
Meri barbadi par koi malal na karan,
bhool jana par mera khayal na karna,
hum teri khushi ke liye kafan aodh lenge,
par tum meri laash se koi sawal na karna.
Pyar ke raste mein bewafa ho nahi sakte,
hum aapse kabhi khafa ho nahi sakte,
aap beshak mujhe bhool kar so jao,
magar hum aapko yaad kiye bina so nahi sakte.
Wo bichhad kar humse ye dooriya kar gayi,
na jaane kyu ye mohabbat adhuri kar gayi,
ab hume tanhaiya chubhti hai to kya kare,
kam se kam uski saari tamanna to poori ho gayi.
Ab jo mere na ho sake to kuch aisa kar dena,
main jaisa pahle tha mujhe fir se waisa kar dena.
Pyar mein na jaane kitni badha dekhi,
fir bhi krishn ke sath hardam radha dekhi.
Shree radha jaha jaha shree krishn waha waha hai,
jo hriday mein bas jaaye wo bichhadta kaha hai.
Radha krishn ka milan to ek bahana tha,
duniya ko prem ka sahi matlab samjhana tha.
Shyam ki bansi jab bhi baji hai,
radha ke man mein prit jagi hai.
Har sham har kisi ke liye suhani nahi hoti,
har pyar ke pichhe koi kahani nahi hoti,
kuch asar to hota hai do aatma ke mel ka,
warna gori radha, saanwale krishn ki deewani na hoti.
Man ki aankho ko jab tera deedar ho jata hai,
mera to har din priy mohan tyauhar ho jata hai.