Dukh iska nahi ki tumhara sath chhut gaya hai,
afsos is baat ka hai ki hamara bharosa toot gaya hai.

Jaise bhi ji rahe hai apne haal par,
bharosa karege sirf apne mahboob ke pyar par.

Main maaf to har baar karta hu,
lekin bharosa sirf ek baar karta hu.

Hum samajhdar bhi itne hai ki unka jhoot pakad lete hai,
aur unke deewane bhi itne hai ki fir bhi yakeen kar lete hai.

Jab jab bharosa kiya hai maine,
tab tab bharosa toot hai mera,
ab to kisi par par bharosa karne ka,
man hi nahi karta hai mera.

Bharosa dusro par rakho to gam de jata hai,
bharosa khud par rakho to takat ban jata hai.

Is matlabi duniya mein kisi par bharosa mat karna,
ishq aur dhokhe mein apna jeewan bekar mat karna.

Bharosa kya karna gairo par,
jab khud girke chalna hai apne hi pairo par.

Aaj shaam hui kal fir suraj niklega,
bharosa rakh apne aap par har pal tu nikhrega.

Bharosa jitna keemtiĀ  hota hai,
dhokha utna hi mahanga ho jata hai.

Jab badlo mein kali ghata chhayegi,
use yaad to hamari zaroor aayegi,
jise dar hi nahi tha kabhi mere khone ka,
use kya afsosh hoga ab mere rone ka.

Tere bina zindagi adhuri hai meri,
tum mil jaao to zindagi puri hai meri,
tujhse hi zindagi ki saari khushiyan judi hai,
dusro ke sath hasna to majburi hai meri.

Chaha na usne mujhe bas dekhta raha,
meri zindagi se wo is tarah khelta raha,
na utra kabhi wo meri zindagi ki jheel mein,
bas kinare par baith kar patthar faikta raha.

Mere geet suna hai duniya walo ne,
lekin mera dard koi jaan na saka,
ek tera hi to sahara tha dil ko,
par tu bhi mujhe pahchan na saka.

Aarju nahi ki gam ka toofan tal jaaye,
firk to ye hai ki tera dil na badal jaaye,
bhulana ho agar mujhko to ek yehsan karna,
dard itna dena ki meri jaan nikal jaaye.

Ye mohabbat ke haadse aksar,
dilo ko tod dete hai,
tum manzil ki baat karte ho,
log bich raho mein hi sath chhod dete hai.

Dard bankar dil mein chhupa kaun hai,
rah rah kar isme chubhta kaun hai,
ek taraf dil hai aur ek taraf aaina,
dekhte hai is baar pahle tootta kaun hai.

Rone ki saja na rulane ki saja,
ye dard mohabbat ko nibhane ki saja.

Hamare bina tum adhure rahoge,
kabhi chaha kisi ne ye khud tum kahoge,
hum na honge to ye aalam bhi na hoga,
milenge bahut par hum sa koi pagal na hoga.

Haste huye ab jakhmo ko bhulane lage,
har dard ke nishan ko hum mitane lage.