Mohabbat bhari najro mein khwab milenge,
kahi kaate to kahi gulaab milenge,
mere dil ki kitaab ko padh ke to dekho,
kahi aapki yaad to kahi khud aap milenge.
Har ghadi har waqt mujhe tumhare sath chalna hai,
zindagi ka har pal tumhare sath gujaru yahi tamanna hai.
Main hotho se kuchh kah nahi paati hu,
to najre jhuka ke pyar ka izhar karti hu,
sirf tum hi humse pyar nahi karte,
main bhi tumse pyar karti hu.
Naraaj hona aapse ye galti kahlayegi,
agar aap huye naraaj to ye saanse tham jayegi,
aap haste rahe yuhi zindagi bhar,
aapke hasne se hamari zindagi sanwar jayegi.
Ye najdikiya kabhi hamara sath na chhode,
hum faaslo ko inkaar karte hai,
jitna aap humse pyar karte ho,
utna hi hum aapse pyar karte hai.
Tumhare khayalo se hi mere din ki shuruaat hoti hai,
kuch beete aur kuch aane wale lamho se baat hoti hai.
jab dhalta hai shaam to main bhi tumhare sath dhal jaati hu,
bas aise hi meri har subah aur shaam hoti hai.
Teri har ada ab mujhe mohabbat si lagne lagi,
zindagi ke har lamhe mein teri jarurat si lagne lagi.
tu jitna gussa karegi main utna paas aaunga,
pal bhar ke liye bhi main tujhse dur nahi jaaunga.
Teri baho mein lipat jaane ko dil karta hai,
tujhe apni zindagi banane ko ji karta hai.
Chehre par hasi aur aankho mein surur aa jata hai,
jab kehte ho aap mere ho mujhe gurur aa jata hai.
Jitna ye samundar gahra hai,
utna mere dil pe tera pahra hai.
mere dil ke armaan ubhar aate hai.
Ham tumhe mana lenge par tum apni,
narazgi ki wajah to bataya karo,
aisi kon si galti ho gayi hai humse,
wo galti to hame bataya karo.
Ye dil to kab se tumhara hi hai,
aur ab hum bhi tumhare hi hai,
tumhe kaise juda kar sakte hai khudse,
hamari to har sans bhi ab tumhari hi hai.
Tumse kitni mohabbat ki hai maine,
har waqt tumhe hi chaha hai maine,
aise naraz na raha karo tum mujhse,
har duaao mein sirf tumhe hi manga hai maine.
Har baar tumhara mujhse yu rooth jana,
ye mujhe bilkul bhi pasand nahi aaya,
main tumse kitni mohabbat karta hu,
shayad ye tumhe kabhi samjh nahi aaya.
Tumhe ab kis tarike se manaya jaaye,
chalo tumhe kahi bahar le jaya jaaye,
hum dono ghumne chalenge kahi dur wadiyo mein,
aur fir se purani yaado ko wapas laya jaaye.
Hum dono pahle kitne khush raha karte the,
ek dusre se kitni mohabbat kiya karte the.
Tumhare liye main kya karu tum hi batao na,
tumhare bina main kaha jaau tum hi batao na,
har baar main tumhe manane ki koshish karta hu,
isse jyada main kya karu tum hi batao na.
Pura hak hai tera mujh pe tu sab jataya kar,
main na puchhu to fir bhi mujhe sab bataya kar.