Meri patni jaan bujhkar mujhse rooth jaati hai,
wah jaan bujhkar mujhe tadpana chahti hai,
taaki main use manau aur use gale se laga lu,
isliye meri patni baar baar naraz ho jaati hai.

Tumhare jitna koi haseen nahi ho sakta,
tumhare jitna koi pyara nahi ho sakta,
tum hi to meri zindagi ki iklauti humsafar ho,
tum se acha koi mera hamsafar nahi ho sakta.

Apni mohabbat ki khushbu se nur kar de,
juda na ho saku tujhse itna majboor kar de.

Deewangi mein kuchh aisa kar jaayenge,
mohabbat ki saari hade paar kar jaayenge.

Khubsurti teri logo ko deewana banata,
ye chand bhi tujhe dekhkar sharma jata hai.

Pura hak hai tera mujh pe tu sab jataya kar,
main na puchhu to fir bhi mujhe sab bataya kar.

Tumhare haath ka khana kitna acha lagta hai,
tumhare bina ye jaha bejana sa lagta hai,
tum hi to meri dil ki dhadkan ho,
tumhare hone se hi to mujhe sukoon milta hai.

Dua yahi hai meri us khuda se,
ki ek aisa din bhi zindagi mein aaye,
jaise mile the heer aur ranjha,
kuchh usi tarah mujhko bhi tu mil jaaye.

Har subah yaado pe tera hi basera hota hai,
jaise mere liye sabse jaruri kaam ho tum,
main khud ko bhi rok nahi pata hu,
jaise meri zindagi ka khubsurat inaam ho tum.

Meri dhadkan ka dhadkna tumhare liye aam hai,
lekin meri zuba pe har waqt tumhara hi naam hai.

Jab se humne tumhara pyar paya hai,
tumhare har khwahisho ko pura karke dikhaya hai,
yaad karoge tum bhi hume har pal,
kyuki tumne sacche aashiq se dil lagaya hai.

Ye dil bhi kisse mohabbat kar raha hai,
jiske hum ho nahi sakte usi ke liye dhadak raha hai,
kehte hai sacchi mohabbat nashib mein nahi hoti,
fir bhi ye dil use paane ke liye kismat se lad raha hai.

Kaash dil ki ek khwahish puri ho jaati,
mere naraj hone pe wo mujhe pyar manati,
aur hamara pyar itna gehra hota,
bina bole hi wo meri dil ki baat samajh jaati.

Zindagi mein to sapne hajaar hai,
un sapno mein tumhara hi intjaar hai,
kab tak humse najre churawoge,
ab keh do ki tumhe bhi mujhse pyar hai.

Hume unke husn ka najara mil gya,
is dil ko dhadakne ka ishara mil gya,
ab kisi aur ki chahat nahi hai hume,
jab se unke pyar ka sahara mil gya.

Ye chandni raat aur taaro ke sath,
hum bhi hai mahfil mein dosto ke sath,
good night mere pyare dost,
hume bhul na jana milkar auro ke sath.

Ye mere dost jab bhi tu udaas hoga,
mera khayal tere hi aas paas hoga,
dil se jab bhi yaad karoge hume,
tumhe hamare kareeb hone ka yehsas hoga.

Nafrat ko hum pyar dete hai,
dosto pe hum khushiyan waar dete hai,
soch samajhkar humse koi wada karna,
hum waade par zindagi guzaar dete hai.

Muskurahat ka koi mol nahi hota,
kuch rishto ka koi tol nahi hota,
dost to mil jaate hai har raste mein,
par har koi aapki tarah anmol nahi hota.

Baato ko alfaaj bhi kaha jata hai,
khamoshi ko pyar bhi kaha jata hai,
jaruri nahi ki har pal hum saath ho,
kabhi dooriyo se bhi pyar badh jata hai.