Dekho kitni jaldi shaam ho gayi,
dosto ko good night kahne ki baat aa gayi,
hum to baithe the taaro ke bich mein,
par jab chand ko dekha to dosto ki yaad aa gayi.
Hume pata nahi ki kon si baat aakhiri ho,
na jaane kon si mulakat aakhiri ho,
isliye dosto ko yaad karke sote hai,
kya pata zindagi mein kon si raat aakhiri ho.
Subah hui nahi aur aap yaad aa gaye,
aankhe khuli nahi aur aankho mein chha gaye.
In taaji hawa mein phoolo ki mahak ho,
pahli kiran mein chidiyo ki chahak ho,
jab bhi tum kholo apni palke,
un palko mein bas khushiyo ki jhalak ho.
Sapno ki duniya se tum laut aao,
ho gayi hai subah ab to jaag jaao,
chand taaro ko kah do tum alvida,
aur is naye din ki khushiyo mein kho jaao.
Is raat ki chandni se mangta hu savera,
aur phoolo ki khushboo se mangta tu rang gahra,
daulat aur shohrat ki chahat nahi hai hume,
hume to bas chahiye har subah mein sath tera.
Nayi nayi subah aur naya naya savera,
suraj ki kirne aur hawaao ka basera,
is khule aasmaan mein suraj ka chehra,
mubarak ho aapko ye khubsurat savera.
Har subah teri zindagi mein itni roshni kar de,
ki tere jivan ke har andhere ko tujhse door kar de.
Mujhe sulane ke liye jab raat aati hai,
hum so nahi paate raat khud so jaati hai,
puchne pe dil se ek awaaj aati hai,
aaj dost ko yaad kar le raat to roj aati hai.
Phoolo ki khushboo ko churaya nahi ja sakta,
chand ki roshni ko chupaya nahi ja sakta,
chaahe duriya kitni bhi ho mere dost,
chahkar bhi dost ko bhulaya nahi ja sakta.
Ye dost tumhari dosti par naaz karte hai,
milne ki tumse hum khuda se fariyad karte hai,
mujhe nahi pata lekin gharwale kahte hai,
ki hum neend mein bhi tumse hi baat karte hai.
Dosti ti insaan ki jarurat hai,
dilo par dosti ki hukumat hai,
dosto ke pyar ki wajah se zinda hu,
warna khuda ko bhi hamari jarurat hai.
Mahak dosti ki ishq se kam nahi hoti,
aur ishq se zindagi khatm nahi hoti,
agar sath ho zindagi mein acche dosto ka,
to zindagi jannat se kam nahi hoti.
Sitaro ki chhaya mein ek palki banai hai,
ye palki ko humne bade pyar se sajai hai,
ye hawa jara tu dhire dhire hi chalna,
kyuki mere dost ko bahut pyari nind aai hai.
Mere kisi bhi sawalo ka jawab na aaya,
tujhse dosti karne ka hisaab na aaya,
hum to jagte rahe tere hi khwab mein,
aur tumhe so kar bhi hamara khwab na aaya.
Chand ki duri to ek raat tak hai,
suraj ki duri bhi bas ek din tak hai,
aur hum dosti mein waqt nahi dekhte,
kyuki dosti ki had aakhiri saans tak hai.
Phool bankar muskurana zindagi hai,
muskura ke gam bhulana bhi zindagi hai,
milkar log khush hote hai to kya hua,
bina kile dosti nibhana bhi zindagi hai.
Ye raat guzregi aur fir savera ho jaayega,
par yaari ke silsile ko tum nibhaye rakhna,
jaan to nahi mangege aapse par ek guzarish hai,
ki ye jaan jaane tak dosti nibhaye rakhna.
Ye chand mere dost ko ek taufa dena,
tu sitaro ki mehfil ke sapne de dena,
chhupa dena tu un andhero ko apni roshni se,
aur chandni raat ke baat khubsurat savera dena.
Kisi apne ka zindagi bhar ka sath hai,
dosti dard nahi khushiyo ki saugaat hai,
ye to dilo ka wo khubsurat yehsas hai,
jiske hone se roshan sari kaynaat hai.