Ye chand ne chand ko yaad kiya,
aur pyar ne pyar ko yaad kiya,
lekin hamare paas na chand hai na pyar,
isliye humne chand jaise dost ko yaad kiya.

Chand hai to ye khubsurat chandni raat hai,
sitaro se hum karte teri hi baat hai,
hamara zindagi itni pyari isliye hai,
kyuki tumhari dosti hamare sath hai.

Ye chand mere dost ko ek taufa dena,
tu sitaro ki mehfil ke sapne de dena,
chhupa dena tu un andhero ko apni roshni se,
aur chandni raat ke baat khubsurat savera dena.

Kisi apne ka zindagi bhar ka sath hai,
dosti dard nahi khushiyo ki saugaat hai,
ye to dilo ka wo khubsurat yehsas hai,
jiske hone se roshan sari kaynaat hai.

Ye raat guzregi aur fir savera ho jaayega,
par yaari ke silsile ko tum nibhaye rakhna,
jaan to nahi mangege aapse par ek guzarish hai,
ki ye jaan jaane tak dosti nibhaye rakhna.

Dosti har chehre ki mithi muskaan hoti hai,
dosti hi to sukh dukh ki pahchan hoti hai,
rooth bhi gaye agar hum to dil par mat lena,
kyuki dosti thodi si nadaan hoti hai.

Ye raat chandni bankar aagan mein aaye,
ye taare lori ga kar aapko sunaye,
aaye aapko itne pyare sapne mere dost,
nind mein bhi aap halke se muskuraye.

Charcha hui jab uparwale ki meharbaniyo ki,
to maine khud ko bahut khushnaseeb paya,
jab zindagi mein jarurat padi ek acche dost ki,
to uparwala khud hi dost bankar chala aaya.

Kyu mushkilo mein sath dete hai dost,
kyu gam ko baat lete hai dost,
na rishta khoon ka na riwaj se bandha hai,
fir bhi zindagi bhar sath dete hai dost.

Dost ab tumhe good night kahne raha hu,
tumhare khwabo ko salam kahne aaya hu,
dua karta hu sabse haseen guzre ye raat tumhari,
ye dost aaj raat bas yahi paigam dene aaya hu.

Dost ab raat bahut ho gayi tum so jaao,
mithe mithe sapno mein tum kho jaao,
koi tumhara sapno mein intejaar kar raha hai,
uske paas jakar thoda milkar aao.

Ye chandani raat tujhe dekhne aa rahi hai,
thandi hawa tere ghar ko dastak de rahi hai,
jara uthkar khidki ki taraf dekho mere dost,
ye chand aur sitare tumhe good night kah rahi hai.

Raat kya hui roshni ko bhool gaye,
chand kya nikla suraj ko bhool gaye,
humne tumhe kuch der message nahi kiya dost.
to kya samjhe hum tumhe yaad karna bhul gaye.

Meri aankhe khule to samne ho chehra tumhara,
har subah tere labo se shuru ho subah meri,
ek tere siva kuch na maangu main rab se,
ek tu hi to hai zindagi jeene ki wajah meri.

Gulab khilte rahe zindagi ki raho mein,
hansi chamakti rahe aap ki nigaho mein,
khushi ki lahar kile har kadam par aapko,
dil deta hai yahi duaa baar baar aapko.

Wada kiya hai to jarur nibhayenge,
suraj ki kiran bankar chhat pe aayenge,
chahe kitni bhi doori ho hamare bich mein,
hum teri har subah ko phoolo se sajayenge.

Safar wahi tak hai jaha tak tum ho,
nazar wahi tak hai jaha tak tum ho,
hazaro phool dekhe hai is gulshan mein magar,
khushboo wahi tak jaha tak tum ho.

Aasman ki bulandiyon par naam ho aapka,
Chand ki dharti par bhi mukaam ho aapka,
har subah aapki khushiyo ki dua karte hai,
khuda kare ki ye sara jaha ho aapka.

Tujhe main apna humsafar bana lu taaki,
meri har subah teri baaho se shuru ho,
khamoshi se takraye tere lab mere labo se,
fir ja kar subah suhaani ho.

Har subah meri aankho ko aapki jarurat hoti hai,
har pal sath tum raho khwahish itni si hoti hai,
na ho agar aapko vishwas to puch lo mere dil se,
isko bhi dhadakne ke liye jarurat aapki hoti hai.