Phool khilte rahe zindagi ki raaho mein,
hansi chamakti rahe aapki nigaho mein,
har subah kadmo mein khushiyo ki bahar ho,
aur har janam mere paas tumhara hi pyar ho.
Subah hote hi jab duniya abaad ho jaati hai,
aankhe khulte hi aapki yaad aa jaati hai.
har subah bas baat hoti rahe aapse,
baat karke aapse khushiya duguni ho jaati.
Sapno ki tarah hum saja kar rakhenge,
chand ki nazro se chupa kar rakhenge,
har subah tum mere aankho ke samne rahoge,
puri zindagi tujhe palko pe bitha kar rakhenge.
Taaji hawa mein phoolo ki mahak ho,
pahli kiran mein chidiyon ki chahak ho,
jab bhi kholo tum apni palke,
un palko mein bas khushiyo ki jhalak ho.
Meri aankhe khule to samne ho chehra tumhara,
har subah tere labo se shuru ho subah meri,
ek tere siva kuch na maangu main rab se,
ek tu hi to hai zindagi jeene ki wajah meri.
Gulab khilte rahe zindagi ki raho mein,
hansi chamakti rahe aap ki nigaho mein,
khushi ki lahar kile har kadam par aapko,
dil deta hai yahi duaa baar baar aapko.
Wada kiya hai to jarur nibhayenge,
suraj ki kiran bankar chhat pe aayenge,
chahe kitni bhi doori ho hamare bich mein,
hum teri har subah ko phoolo se sajayenge.
Safar wahi tak hai jaha tak tum ho,
nazar wahi tak hai jaha tak tum ho,
hazaro phool dekhe hai is gulshan mein magar,
khushboo wahi tak jaha tak tum ho.
Aisa koi din na ho jo tu mere sath na ho,
aisi koi subah na ho ki tu mere kareeb na ho,
gujarish hai khuda se ki subah teri baho me ho,
warna is nacheez ki koi subah na ho.
Aasman ki bulandiyon par naam ho aapka,
Chand ki dharti par bhi mukaam ho aapka,
har subah aapki khushiyo ki dua karte hai,
khuda kare ki ye sara jaha ho aapka.
Har subah meri aankho ko aapki jarurat hoti hai,
har pal sath tum raho khwahish itni si hoti hai,
na ho agar aapko vishwas to puch lo mere dil se,
isko bhi dhadakne ke liye jarurat aapki hoti hai.
Tujhe main apna humsafar bana lu taaki,
meri har subah teri baaho se shuru ho,
khamoshi se takraye tere lab mere labo se,
fir ja kar subah suhaani ho.
Ikrar mein shabdo ki yehmiyat nahi hoti,
dil ke jajbato ki aawaj nahi hoti,
aankhe baya kar deti hai dil ki dastan,
mohabbat lafzo ki mohtaaz nahi hoti.
Baadlo se suraj nikal aaya hai,
aasman mein naya rang chaya hai,
ab tak aap so to nahi rahe,
ye subah khushiyo ka paigam laya hai.
Phoolo ne amrit ka jaam bheja hai,
subah ki kirno ka salam bheja hai,
khushiyo se bhari ho zindagi aapki,
yahi dil se humne paigam bheja hai.
Subah uthte hi chehre par muskan rahe,
har ek dukh se aap koso door rahe,
mahak uthe aapki zindagi,
aisa shubh din aapka aaj rahe.
Gujar gayi wo sitaro wali pyari raat,
yaad aa gayi aapki wo ek mithi baat,
har pal hoti rahti thi hamari mulakat,
ab to bina aapke hoti hai din ki shuruaat.
Teri khushiyon ko main sajana chahta hu,
Tujhe dekhkar muskurana chahta hu,
meri zindagi mein kya ahmiyat hai tumhari,
Ye lafzo mein nahi paas aakar batana chahta hu.
Neend bhari aankho ko dhire se khol do jara,
is pyari subah ki nami se palko ko dho do jara,
humne to aapko bol diya hai good morning,
ab aapki baari hai hume bhi good morning bol do jara.
Subah shaam bas teri hi chahat karu,
tujhse na kabhi koi shikayat karu,
tere hansi labo pe yu hi barkarar rahe sada,
chahkar bhi tujhko khud se na juda karu.